Hindi typing karna bahut he saral hai. Iske liye Hindi typing software ka bhi istemaal kia jaa sakta hai lekin mai jo yahaan batane wala hoon wo mera tareeka hai. Ji hoon abhi mai aapko bataunga Hindi typing ke sath mera experience ke baare me.
My experience with hindi typing.
Jab maine design me hindi istemaal karna suru kia to mujhe hindi typing seekhna pada. Mai to bas 1 din me seekh lia, dusre din ka abhyas se speed me improvement hua. Mere paas hindi font nahi tha to maine apne senior level ke person se hindi fonts le liya. Jinme se mera favorite Bhartiya font hai. Aapke aashani ke liye maine font website me dal dia hai. Aap free me hindi font download kar sakte hai. DOWNLOAD HINDI FONT
How to learn hindi typing?
Friend, mai aapko hindi typing keyboard file de raha hoon. Sabse pahle aap ise download kar len aur fir ise print kar len. Printed page ko aap hamesha apne keyboard ke paas raken. Now to learn hindi typing, Hindi typing seekhne ke liye ek hindi shadi card ya koi bhi hindi paragraph ko apne coreldraw file me type karne ki kosish karen. Koi bhi hindi font chune aur type karen. Jab bhi aap koi shabd ka key (button) bhool jaye to paas me rakhe printed keyboard layout me dekh len. First time hindi typing bahut slow hoga, kyu ki aapko bar bar letters dhundna padsata hai. Dheere dheere aapko letters yad ho jayega. Aur fir speed bhi aane lagega.
DesignerDen hindi keyboard layout.
DesignerDen me aapko hindi keyboard ke layout dia gaya hai. Aap aise JPG, PDF format me download kar sakte hai. Har key me 2 letters hai. Upar wale letter ko likhne ke liye Shift button ko presh karke likhen. Kisi key ke upari letter ko likhne ke liye SHIFT button ke sath likhen aur neeche wale letters ko likhne ke liye bina shift ke likh sakte hai. Simply type karne se neeche wale letters type hoga. Kuchh special characters ko likhne ke liye shortcut ka istemaal kia jayega.
Agar aapko is bare me koi bhi sawal hai to behichak hamse comment dwara puchh sakte hai. Hame Uttar dene me khushi hogi.