Ok! Learn hindi typing yes. Yah hai hamara aaj ka topic. Hindi typing karna utna bhi difficult nahi hai jitna aap samajhte ho. Yah post me mai aapko hindi typing karne ke bare me bataunga.

Hindi Keyboard Layout in Designerden

Maine ek hindi keyboard layout banaya hai jo khash aap ke liye hai. Aap ise free me designerden se download kar sakte hain. Ham jab apne software me koi Hindi font choose karte hai to fir hame ye pata karne me muskil hoti hai ki kaun sa hindi letter kis key (button) me hai. Isliye jab aap hamare dwara diye gaye is hindi keyboard layout ko print kar apne keyboard ke paas rakhenge to aapko Aapko hindi typing seekhna aasan ho jayega. Hamara yah file me 2 page hai. Yah file aasani se sabhi ke computer me khul sake isliye ise humne PDF format me rakha hai. Dosto niche ke steps ko follow karenge to aapke liye hindi ka problem 7 dino ke andar solve ho jayega.

  • Sabse pahle hamare is file ko neeche diye gaye DOWNLOAD button se download kar len.
  • Aapke computer me ek PDF file download ho jaane ke baad use print kar len.
  • Front Side me pahle page aur back side me dusra page print kar len.
  • Aap chahe to Photo paper ka bhi use kar sakte hai. Photo paper me ek side he glossy hota hai isliye aise me aapko do page me print kar ke aur ek dusre page ko ek saath karke laminate karna pad sakta hai.
  • Hindi Keyboard Layout ko laminate kar dene se yah jaldi kabhi fatega nahi.

How to use Hindi Keyboard Layout?

Sabse pahle to mai aapko suggest karunga ki aap hamare Youtube channel se uska dedicated video dekh len. Yah video dekhne se aapka Hindi typing se judey problems solve ho jayenge.

द्ध , ष्ट्र , श , ष , द्य jaise Anya difficult hindi words kaise type karen?

Hamare Kai sare subscribers ne hamse ye sawal kar lia hai ki hindi typing me wo words kaise type karen jo keyboard me hai hee nahi. Doston iska solution maine YouTube video me de dia hai. Aur mai yahaan bhi aapko bata dena chahunga. Suppose aap युद्ध likhna chahte hai to iske liye maine second page me shortcut keys dia hai jiska istemaal kar aap aasani se koi bhi letters type kar sakte hai.

  1. Sabse pahle to aap hindi font choose kar len. Aap krutidev, Bhartiya ya Raj jaise kisi bhi font ka chayan kar sakte hain.
  2. Left Alt press kar ke short cut key wale numbers ko number pad me type karen.
  3. Alt key chhodte sath apka letter type ho jayega.
  4. Kuchh case me hame fraction ka use karna pad sakta hai.

Fraction kia hai?

Doston coreldraw me hum shortcut keys ko use kar ke glymph (symbols) ko type kar sakte hai. Kabhi kabhi hame ek se jyada shortcut keys ka use karna pad sakta hai. Aise me hum fraction ka use karte hai. Ise maine YouTube video me bilkul sahi se bataya hai.

Download Hindi keyboard layout

Hindi typing ke liye designer Den ka hindi keyboard layout apke liye free me uplabdh hai. Ise neeche diye gaye button par click kar download kar sakte hain.

 

Download your Hindi keyboard Layout design by clicking above green button.

author-avatar

About Vishal Kumar

Hi I am Vishal. I have started my Journey as graphic designer and now I am a web developer as well as graphic designer. I look myself as a Youtuber. I spent a lot of time on making YouTube videos. For business enquiry don't forget to contact me.

2 thoughts on “Hindi Keyboard Layout To Learn Hindi Typing

Leave a Reply