Screen printing, printing ka sabse best method me se hai. Kam lagat me adhik munafey wala business hai ye. Lekin kisi naye person ke liye ye ek challenge se kam nahi hai.

Mere sath hone wala pareshani.

Ok, to pahle mai apna pareshani aapse share karta hoon. Ho sakta hai ki aisha hee pareshani aapke sath bhi hota ho. Jab bhi mai screen me matter expose karta tha to ye aashani se expose ho jata tha lekin turant hee matter dhundhla hone lagta tha aur jo part ko board me rahna chahiye wo bhi geela me hee nikalne lagta tha.

Board me hath ferne se chip chipa aur fislapan.

Agar board me matter expose karne ke baad chip chipa ya fislapan mehsoos hone lage to samajh jate ki coating material sahi se tayyar hee nahi hua. Coating ke liye ham aksar sonacoat ya supercoat istemal karte hai. Suppose hum sonacoat istemaal karte hai to usme hum ek aur chemical milate hai jise hum Sensitizer kahte hai.

Screen ka matter expose ke baad bhasarne lagta hai.

Agar Sensitizer ka matra kam rahega sonacoat me to hum, coating ko bhale hee kitna bhi achha se sukha len lekin matter dhulne ke baad ye bhasarne lagega. Jab hum paani se dhulai karke matter nikal lenge to screen ke bahri satah ko touch karenge. Agar fislapan aur chip chipa lage to bhasarne ka chance jyada hoga aur sukhne ke dauraan screen kharaab hone lagega.

Iska solution kya hai?

Is problem ka aasaan sa hal hai. Jitna bhi Sensitizer milaya gaya tha sonacoat me ab halka matra Sensitizer ka aur bhi badha denge. Aise karne se problem solve ho jayega aur screen bhe achha khulega. Lekin ek baat ka vishesh dhyaan den agar adhik Sensitizer ho jayega sonacoat me to matter expose karne me problem ho jayega ye hard ho jayega aur matter jaldi nhi khulega. Isliye Sensitizer ka quantity na hee jyada naa hee kam hona chahiye. Sensitizer sonacoat me sahi matra me milana hee hamara problem ka solution hai.

Agar aapko ye samajhne me koi problem hai to please comment Karen . Agar aapka koi sawal hai to plsease feel free to ask.

author-avatar

About Vishal Kumar

Hi I am Vishal. I have started my Journey as graphic designer and now I am a web developer as well as graphic designer. I look myself as a Youtuber. I spent a lot of time on making YouTube videos. For business enquiry don't forget to contact me.

Leave a Reply