Some helping Contents

Hello dear designers/creators, this is just a helping hand to my sellers/creators/designers. Most of the audience in designerden are from India so, it is better to write in Hindi instead of English. If any of you need this post in English language then let me know and will write the same in English too.

Creators Ko Kia help milega is post se?

Aap log bahut mehnat se design create karte ho aur ye kaam time taking hai. Isliye is post me aapko mai kuch links dunga jiske madad se aapko ideas aur helping resources mil jaye. Is se aapko content uploading me help hoga. Aap jab bhi koi product ya design upload karte hai to product ke baare me ek achha description likhna jaroori hota hai. Sath he design ya product ka short description jise product feature description bhi kehte hai, ise bhi likhna bahut jaroori hota hai. Lekin design me aksar bahut sari bate same hota hai to ek common description aur short description maine pahle se hee aapke liye bana kar rakha hai. Ise aap Copy Paste karke istemaal kar sakte hai ye aapka samay bachayega.

Lekin hamare product description ko as it is paste nahi karke halka changing kar denge to uique bhi ho jayega aur aapke apne product ke according bhi ho jayega. Islie Jahan aap product ka description likh rahe honge first paragraph ke baad ek second paragraph aap apne shabdon me product ke baare me jaroor likhen.

Product Short Description OR Product Feature Description

Product short description and product feature description are same. You can write on any of them. Product short description me aap jo bhi likhenge wo design ke sath sabse top me dikhega isliye isme point wise aap important points likh sakte hai jo aap apne customer ko uss proper design ke baare me batana chahte hain. Short Description ko copy karke google document par hee edit kar len. Dhyaan rahe koi bhi link remove nahi ho. Aap designerden me tutorial videos bhi jaroor check kar len.

Product feature description ko aap apne tareeke se uchit badlaaw kar sakte hai. Kisi bhi tarah ka puchh tachh ke liye hame whatsapp 9162987007 par sampark karen.

Click on below button to get short description content. You need to copy the content and paste into your new google document. Make changes if required. then paste into Short Description section in website.


Short Description Content प्राप्त करने के लिए नीचे दिए गए बटन पर क्लिक करें। आपको content को कॉपी करके अपने नए Google document में paste करना होगा। यदि आवश्यक हो तो परिवर्तन करें। फिर वेबसाइट के short description अनुभाग में paste करें।

Upar ke button par click karke aap short description prapt kar sakte hai.

Design Ke Bare Me Jaroor Likhen (Product Description)

Aap se request hai ki apne product ke baare me khud se achha description likhen. Copy Pase wala system humne hata dia hai. Google me search hone wala topic ya keyword ka istemaal kare. Is se aapka product google search me aayega aur jyada sell hoga. Isliye apne taraf se apne product ke baare me likhna kabhi na bhoole. Apne Taraf se minimum 1 se 2 paragraph (or minimum 100 words ) likhne ka kosish jaroor karen. Agar ye samajhne me dikkat aaye to hamse whatsapp support len.

Click on above button for getting updated description. The links on description are Important please do not remove links.

Jaroori Setting

  • Inventory section me “Allow only one quantity of this product to be bought in a single order” option par tick laga den.
  • Attribute Sahi se select Jaroor Karen.
  • Product Data me SIMPLE PRODUCT select rehna chahiye.
  • VIRTUAL aur DOWNLOADABLE par bhi tick mark laga den.
  • Google document me copy karke khud ka google document me edit kar sakte hai lekin MicroSoft Word me edit nahi karna hai. Google document ka hee istemal karna hai.

Attaching Screenshot of Edit Product

Downloadable aur Virtual option me click hona chahiye.

Helping Hand To Creators
Downloadable and Virtual must be clicked.

Allow only one quantity of this product to be bought in a single order

Allow Only One Quantity is most important setting and must be checked on.

Helping Hand To Creators

Attribute

Agar aap attribute ko set kar denge to aapke product me specification tab show karega. Product attribute set karne se aapko faida hai. Is se aap apne buyed ko file ke baare me important information de payenge.

Helping Hand To Creators

Downloadable Options

Helping Hand To Creators
author-avatar

About Vishal Kumar

Hi I am Vishal. I have started my Journey as graphic designer and now I am a web developer as well as graphic designer. I look myself as a Youtuber. I spent a lot of time on making YouTube videos. For business enquiry don't forget to contact me.

Leave a Reply