Ji haan! Agar aap printing business chalu karna chahte hai to fir aapke liye ye post useful hai. Dosto printing business bahut hee profitable business hai agar ise dhang se kia jaay to. Ji haan is business me skill ke sath sanyam aur ekagrata jaroori hai. Koi bhi business ek baar me hit nahi hota. Use kadi mehnat ke sath samay dena hota hai.

Business ke liye kin baton ko dhyaan me rakhna hai?

Sabse pahle to ye jaan len ki kai baaton ko dhyaan me rakh kar hee business ko chalu kia ja sakta hai.

Location primary hai. Ye bahut hee jyada mayne rakhta hai. Isliye apna printing business ka shop wahaan lagaye jahaan public (population density) jyada ho. Kosis karen ki Aapko shop developed market me ho.

Kitne ka lagat me printing business chalu kia ja sakta hai?

Ji haan ye depend karta hai. Agar aapke paas pahle se computer aur printer hai to aap kam kharch me ye business start kar sakte hai. Warna aapko kam se kam I-5 configuration ki laptop aur HP ki LaserJet printer me invest ke alawa dukan ki furnishing aur screen print material me kharch karna padega. Sath hee aapko kuchh sadi card bhi stock karna hoga jisme aapko kam se kam 30000 kharch karna chahiye.

Is topic me aur bhi likhunga filhaal aapke paas koi question ho to comment karen. Thank you!ЁЯСН

author-avatar

About Vishal Kumar

Hi I am Vishal. I have started my Journey as graphic designer and now I am a web developer as well as graphic designer. I look myself as a Youtuber. I spent a lot of time on making YouTube videos. For business enquiry don't forget to contact me.

Leave a Reply